Celebrating Faiz

Celebrating Faiz

A legendary poet like Faiz Ahmed Faiz (1911-1984) needs no introduction. In Pakistan, where one authoritarian government has made way for another since 1947, Faiz’s person and work is largely known as a symbol of resistance. In his poetry, he represented the people’s longing for freedom and democracy and became a source of inspiration for those seeking to build a just society.

Faiz began his career as a lecturer in English at Amritsar, but switched to journalism after the Second World War. He went on to become the editor of The Pakistan Times. In 1951, he was charged with complicity in the Rawalpindi conspiracy case and imprisoned. It was his four-year term in prison that gave him first-hand experience of the harsh realities of life and provided him with much-needed solitude to translate his thoughts into poetry.

As a poet, Faiz began writing on the conventional themes of love and beauty, but soon these thoughts were submerged in the larger social and political issues of the day. An admirer of Karl Marx, Faiz was also honoured by Soviet Russia with the prestigious ‘Lenin Award for Peace.’

Over the years, Faiz’s poetry has provided hope during the dark days of martial law, even as recently as November 3, 2007, when former president General Pervez Musharraf declared a state of emergency.

Twenty-five years ago, when Faiz passed away at the age of 73, Dawn described him as the ‘greatest Urdu poet of his time,’ who became a living legend for ‘his intrepid struggle against what he himself once described as “the dark and dastardly superstitions of centuries untold”.’

faiz_is_dead

Today, to mark Faiz’s death anniversary, Dawn.com invites its readers to share their favourite lines by the masterful poet and help keep the power of his poetry alive.


The views expressed in the following reader comments do not necessarily reflect the views and policies of the Dawn Media Group.

 

Comments Guide:
Dawn.com encourages its readers to share their views on our forums. We try to accommodate all users' comments but this is not always possible due to space and other constraints. Please our read our comments guidelines below for more information:

1. Please be aware that the views of our bloggers and commenters do not necessarily reflect Dawn.com's policies.

2. Though comments appear to have been published immediately after posting, they are actually forwarded to a moderation queue before publication.

3. Dawn reserves the right to remove or edit comments that are posted on this blog.

4. Language that is offensive to any race, religion, ethnicity, gender or nationality is not permitted.

5. Avoid posting comments in ALL CAPS. Commenters are also encouraged to avoid text contractions like 'u r.'

6. Do not cross-post comments across multiple blog entries.

7. Any comments posted to a blog entry should be relevant to the topic or discussion.

8. Do not spam the comment section.

192 Responses to “Celebrating Faiz”

  1. Asif A. Shah says:

    Un hi kay faiz se bazar-e-aqal roshan ha,
    Jo gha gha janoon ikhtiar karte rahe:

    Translation:
    Humanity owes its enlightenment to them,
    Who from time to time purse their obsessions;

  2. Nida Naseer says:

    raat yuuN dil meN terii khoyii hu’ii yaad aayii
    jaise viiraane meN chupke se bahaar aa jaaye
    jaise sehraaoN meN hauley se chale baad-e-nasiim
    jaise biimaar ko be-vajh qaraar aa jaaye

  3. Imran Siddiqui says:

    Woh log bahut khush kismat the
    Jo ishq ko kaam samajhte the
    Yeh kaam se ashiqui karte the
    Hum ji te ji masroof rahe
    kuch ishq kiya kuch kaam kiya
    Kaam ishq ke aade aata raha
    Aur ishq se kaam ulajhta raha
    Phir akhir tang aa kar humne
    Dono ko adhura chod diya

  4. zubair hameed says:

    karo Kaj kafan ba sare jabeen, meray qatilon ko guman na ho

    Ke ghroor-e-Ishq ka baankpun pase marg hum ne bhula diya

  5. Amazing imagination in every word of the great Faiz like:

    Hamari Khamoshi kutch Iss tharah saay koonji,

    Goya Her Smithn Say Jawab Aya

  6. Syed Saood Hassan says:

    Ham Nay is Ishq Main Kiya khoya kiya paya

    Juz teray aur ko samjhaon tu samjha na sakon,

    Aajzi seekhi ghareebon ki himayaat seekhi,

    Yasoo Hurman k dukh dard ki mana seekhi,

    Zerdaston k masaib ko samjhna seekha,

    Surkh aaahoon k rukh e zard ki manaa seekhi,

    Jub kabhi beth k rootey hain woh bekaas jin k,

    ashq ankhoon main bilaktey howey soojatey hain,

    Na tawaoon k niwalon pay jhapatey hain aqab,

    Bazoo tooley howey mandalatey howey aatey hain,

    Jub kabhi bikta hey bazaar main mazdoor ka gosht,

    Shahraoon pay ghareeboon ka lahoo behta hey,

    Ik aag si seenay main machalti hay mut pooch,

    Mujh ko apney DIL pay kaboo nahi rehta hey

  7. himmat-e-iltijaa nahii.n baaqii
    zabt kaa hausalaa nahii.n baaqii

    ik terii diid chhin ga_ii mujh se
    varnaa duniyaa me.n kyaa nahii.n baaqii

    apanii mashq-e-sitam se haath na khe.nch
    mai.n nahii.n yaa vafaa nahii.n baaqii

    terii chashm-e-alam_navaaz kii Khair
    dil me.n ko_ii gilaa nahii.n baaqii

    ho chukaa Khatm ahad-e-hijr-o-visaal
    zindagii me.n mazaa nahii.n baaqii

  8. His legacy will live on forever. He is a legend then, is one now, and always will be.

    We need more people like him in Pakistan. His daughter Salima Hashmi was my mother’s mentor during her days at NCA Lahore.

    on a side note, to all friends and fans of Shoaib Hashmi —-please pray for him. He is a bit ‘under the weather’ nowdays but Inshallah may he make speedy recovery.

  9. M.Haider says:

    FAIZ -THE POET
    bol ki lab aazaad haiN tere
    bol ki zabaaN ab tak terii hai….

    yeh daagh daagh ujaala, yeh shab gaziida sehar
    voh intezaar thaa jiskaa yeh voh sehar to nahiiN’ …(in the context of partition)
    &
    nisaar maiN terii galiyoN ke aye vatan ki jahaaN
    chalii hai rasm ki koii na sar uThaa kar chale…

  10. MasoodHaider says:

    ‘Dua-e-Faiz’
    Aaeye Haath Uthain hum bhi
    and of course the epic
    ‘Yeh Raat us dard ka shajar hai–‘

  11. Shabnam says:

    bahaar aa_ii

    bahaar aa_ii to jaise ek baar
    lauT aaye hai.n phir adam se
    vo Khvaab saare, shabaab saare
    jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
    jo miT ke har baar phir jiiye the
    nikhar gaye hai.n gulaab saare
    jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
    jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n

    ubal pa.De hai.n azaab saare
    malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
    Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
    Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
    tere hamaare
    savaal saare, javaab saare
    bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
    naye sire se hisaab saare

  12. Shumail says:

    Do Ishq (faiz)

    ——————————————————————————–

    Taza Hai Abhi Yaad Main Aay Saqi-e-gulfaam
    Wo Aks-e- Rukh-e-yaar Say Lahkay Hoyay Ayaam
    Wo Phool Si Khilti Hoi Deedar Ki Saa-at
    Wo Dil Sa Dharaktha Houa Umeed Ka Hangaam

    Umeed,kay Lo Jaga Ghum-e-dil Ka Naseeba
    Lo Shoq Ki Tarsi Hoi Shab,ho Gayi Aakhr
    Lo Doob Gayay Dard Kay Baykhwb Sitaray
    Ab Chamkay Ga Bay-sabr Nigahoo Ka Muqadar

    Is Baam Say Niklay Ga Teray Husn Ka Khursheed
    Us Kunj Say Phootay Gi Kiran, Rang Hina Ki
    Is Dar Say Bahayga Teray Raftar Ka Seemab
    Us Rah Pay Phoolay Gi Shafaq Teri Qaba Ki

    Phir Dekhay Hai Wo Hijr Kay Taptay Hoay Din Bhi
    Jab Fikr-e Dil-o-jaan Main Fughaan Bhool Gayi Hai
    Har Shab Wo Siya Bhooj Kay Dil Bhait Ghiya Hai
    Har Subh Ki Luo Teer Si Seenay Main Lagi Hai

    Tanhayi Main Kia Kia Na Tujay Yaad Kia Hai
    Kia Kia Na Dil-e-zaar Na Dhondi Hai Panahay
    Aankho Say Lagaya Hai Kabi Dast-e-saba Ko
    Daali Hai Kabi Gardan-e-mahtab Main Bhanhay

    Chaha Hai Isi Rang Main Lailayay-e-watan Ko
    Tarpa Hai Isi Tor Say Dil Is Ki Lagan Main
    Dhoondi Hai Yunhi Shoq Main Asayish-e-manzil
    Rukhsaar Kay Kham Main,kabi Kakul Kay Shikan Main

    Is Jaan-o-jahan Ko Bhi Yunhi Qalb-o-nazar Nay
    Hans Hans Kay Sada Di,kabi Ro Ro Kay Pukara
    Poray Kiyaya Sab Harf-e-tamana Kay Taqazay
    Har Dard Ko Ujyala,har Ek Ghum Ko Sanwara

    Wapas Nahee Phiara Koi Farman Junoo Ka
    Tanha Nahee Loti Kabi Awaz Jaras Ki
    Khairiat-e-jaan,rahat-e-tan,sehat-e-damaa
    Sab Bhool Gayi Maslahatay Ahl-e-hawas Ki

    Is Raah Main Jo Sab Pay Guzarti Hai Wo Guzri
    Tanha Pas-e-zindaa,kabi Ruswa Sar-e-bazaar
    Garjay Hai Bohhut Shaikh Sar-e-gosha-mimbar
    Karkay Hai Bohut Ahl-e-hakm Barsar-e-darbar

    Chora Nahee Ghiaroo Nay Koi Nawak-e-dishnaam
    Choti Nahee Apnoo Say Koi Tarz-e-malamat
    Is Ishq Na Us Ishq Pay Nadim Hai Magar Dil
    Har Daagh Hai Is Dil Main Bajuz Daagh-e-nidamat
    __________________

  13. Adnan says:

    Faiz Saheb will never die. He will live long in the heart of his readers and followers for years after years. One cannot forget his Legendary personality and his true class through his God Gifted touch in his poems and ghazals. Here is just one example of the class of Faiz Saheb’s poetry:

    KOI AASHIQ KISI MEHBOOBA SE ( A POEM)

    Gulshan-e-Yaad main garr Aaj dam-e-Baaday Sabaa…
    Phir se chahay keh Gul Afshaan ho tou hojanay dou…
    Umr-e-Rafta kay kisi taaq pay bisra huwa dard..
    Phir se chahay keh farozaan ho tou hojanay dou…

    Jaisay baiganay se miltay ho waisay hee sahee…
    Aao dou chaar gharhi mairay muqaabil baitho..
    Garchay mill baithain gay Hamm Tum tou Mulaqat kay baad..
    Apna ehsaas-e-Ziyaan aur ziada hoga..
    Hamm Sukhan hongay jo Hamm Tum tou herr ik baat kay beech…
    Ann kahi baat ka mohoom sa parda hoga..
    Koi Paimaan na Main Yaad dilaaonga na Tum…
    Koi Mazmoon Wafa ka na Jafa ka hoga….

    Gard-e-Ayyam ki Tehreer ko Dhonay kay liay..
    Tum se Goya hon Dam-e-Deed jo Meri Palkain..
    Tum jo Chaho tou suno aur na chaho na suno…
    Aur jo Harf karain Mujh se Guraizaan Aankhain…
    Tum jo Chaho tou Kaho aur Na Chaho, Na Kaho

  14. Ahmed says:

    Faiz was great. The rulers did not realized him in his life. Noor Jahan was also a great lady who sung the famous ghazal “Mujh Se Pehli Mohabat Meri Mehboob Na Mang” and what the greatness of Faiz when he dedicated this ghazal to Madam Noor Jahan. I request to all, read Faiz, follow Faiz then society will get Faiz to justice.

  15. Faiz Lover says:

    raat yun dil me teri khoi hui yaad aayi

    jaisay veeranay mein chupey se bahaar aa jaye

    Jaisay sehraon mein holay se chale baad-e-naseem

    Jaisay beemar ko be wajha qaraar aa jaye

  16. Zafar says:

    Mere dil mere musafir
    Hua phir se hukm sadir
    Ke watan badar hon hum tum
    De gali gali sadain

    Karain rukh nagar nagar ka
    Ke suragh koee paien
    Kisi aur nama bar ka
    Har ik ajnabi se poochain
    Jo pata tha apne ghar ka

    Sar e koe na shanaya
    Humain din se raat karna
    Kabhi iss se baat karna
    Kabhi uss se baat karna

    Tumhain kya khoon ke kya hai
    Shab e gham buri bala hai
    Humain yeh bhi tha ghaneemat
    Jo koee shumar hota
    Humain kya bura tha marna
    Agar aik bar hota

  17. Faisal Afridi says:

    To the EverGreen Faiz Ahmed Faiz

    aao k ajj khatam howi dastaan e ishaq
    abb khatam e ashaqi k fasaane sunaye hum

    ek karra dard k jo gheet mein dalta he nahi
    dil ki tareek shughafoon se niklta he nahi

  18. Tribute to FAIZ
    The charm and sustance in poetry gone with FAIZ may ALLAH BLESS HIS SOUL (AAMEEN)
    NA GAWAOO NAVAK E NEEM KUSH DILE REZA REZA GNWANDIA
    JO BUCHE HAIN SUNG SAMAIT LO TUNE DAAG DAAG LUTA DIA

  19. Asif A. Shah says:

    Un hi ke faiz se bazzar-e-aqal roshan hay
    Jo gha gha janoon ikhtiar karte rahey

  20. akbar khan says:

    raath yoon dil may theri khoyi hoi yad aiye;
    jesa werana may chupka say bahar ajaye

    Faiz was a born poet, The ease with which he expressed his aura, multidimensional thought process was and is still matchless.

  21. Ajeet says:

    Definitely, Among the greatest poets of all time!!!

  22. Qaisar says:

    Raat youn dil me teri khoi hui yaad aai
    jayse verane me chupke se bahar aa jaae
    jayse sehraa me houle se chale baade naseem
    jayse bemaar ko bewajhah qarar aa jaae

  23. Zakaria Nutkani says:

    Man behind a poet: Faiz being a true scholar, revolutionary and progressive found poetry the most sublime way of expressing his strength of idea. Straddling along the loftiest peaks of passion for humanity, he delivered his best of life through verses ealier unheard in the domain of poetry.
    ” Aaj Bazar mein Pabejollan chalo
    Mast o raqsan chalo, khon badaman chalo
    rah takta hae shehr e janaan chalo”
    Relevance of his conviction to desist tyrrany, oppression and extremism is a blessing for people seeking change in social, political and cultural paradigms of a state wretched with blunders of policy makers.

  24. rizwan says:

    chand dekha teri aankhon main na honton pay shafaq
    milti julti hay shab e gham se teri deed ab kay

  25. Saleem says:

    Here are a few verses from one of my all times favourite of the Great Poet.

    “Tum aaye ho na shab-e-intizar guzri hai
    Talash mein hai sehr baar baar guzri hai

    Junoon mein jitni bhi guzri bakaar guzri hai
    Agar-che dil pe kharaabi hazaar guzri hai

    Wo baat saarey fasane mein jiska zikr na tha
    Wo baat unko bohat naagawar guzri hai…”
    And I must add that Noorjahan gave immortality to this beautiful ghazal.

Dawn.com on Facebook


dawn.com on Facebook

Advertisement