Celebrating Faiz

Celebrating Faiz

A legendary poet like Faiz Ahmed Faiz (1911-1984) needs no introduction. In Pakistan, where one authoritarian government has made way for another since 1947, Faiz’s person and work is largely known as a symbol of resistance. In his poetry, he represented the people’s longing for freedom and democracy and became a source of inspiration for those seeking to build a just society.

Faiz began his career as a lecturer in English at Amritsar, but switched to journalism after the Second World War. He went on to become the editor of The Pakistan Times. In 1951, he was charged with complicity in the Rawalpindi conspiracy case and imprisoned. It was his four-year term in prison that gave him first-hand experience of the harsh realities of life and provided him with much-needed solitude to translate his thoughts into poetry.

As a poet, Faiz began writing on the conventional themes of love and beauty, but soon these thoughts were submerged in the larger social and political issues of the day. An admirer of Karl Marx, Faiz was also honoured by Soviet Russia with the prestigious ‘Lenin Award for Peace.’

Over the years, Faiz’s poetry has provided hope during the dark days of martial law, even as recently as November 3, 2007, when former president General Pervez Musharraf declared a state of emergency.

Twenty-five years ago, when Faiz passed away at the age of 73, Dawn described him as the ‘greatest Urdu poet of his time,’ who became a living legend for ‘his intrepid struggle against what he himself once described as “the dark and dastardly superstitions of centuries untold”.’

faiz_is_dead

Today, to mark Faiz’s death anniversary, Dawn.com invites its readers to share their favourite lines by the masterful poet and help keep the power of his poetry alive.


The views expressed in the following reader comments do not necessarily reflect the views and policies of the Dawn Media Group.

 

Comments Guide:
Dawn.com encourages its readers to share their views on our forums. We try to accommodate all users' comments but this is not always possible due to space and other constraints. Please our read our comments guidelines below for more information:

1. Please be aware that the views of our bloggers and commenters do not necessarily reflect Dawn.com's policies.

2. Though comments appear to have been published immediately after posting, they are actually forwarded to a moderation queue before publication.

3. Dawn reserves the right to remove or edit comments that are posted on this blog.

4. Language that is offensive to any race, religion, ethnicity, gender or nationality is not permitted.

5. Avoid posting comments in ALL CAPS. Commenters are also encouraged to avoid text contractions like 'u r.'

6. Do not cross-post comments across multiple blog entries.

7. Any comments posted to a blog entry should be relevant to the topic or discussion.

8. Do not spam the comment section.

192 Responses to “Celebrating Faiz”

  1. aasim hameed says:

    Years back, when Faiz died , I was in secondary school. One day in 1984, my father, who worked as a consultant and professor at Mayo hospital, Lahore , came to pick me up at school in the evening. He was quite late. I asked him, why are you late today ? I was the last boy left in the school. He didn’t mention anything, infact he was strangely very quite through our way back home. Next day, I found out, some scholar died at mayo hospital. Father was there at the East medical ward, managing his respiratory condition. The patient had severe chronic obstructive pulmonary disease due to excessive , chronic smoking.

    Many years later, I found out, the man was no one but Faiz Ahmed Faiz.

    Back to the subject, looking at Pakistan today and remembering Faiz, nothing comes to my mind but,

    YEH DAGH DAGH UJAALA, YEH SHAB GAZEEDHA SEHR,

    WOH INTEZAAR THA JIS KA, YEH WOH SEHR TO NAHEEN.

    Sincerely,

  2. Zohaib says:

    jo rukay tu koh-e-garaan thy hum, jo chale tu jaan sy guzar gaye

    rah-e-yaar hum nay kadam kadam tujhy yaadgaar bana diya

  3. M. Asghar says:

    MY small tribute to Faiz:

    Oh, my sadness is not pain, it is separation,
    Oh, your breath is not cold, it is a tune.
    In you regard what a bud blossomed
    So that I smell, where the deliverance is!

    (From a ghazal in Persian composed today)

  4. Babar Khan says:

    gulon mein rung bharay bad e naubahar chalay
    chalay bhi ayo k gulshan ka karobar chalay

    qafs udaas hai yaaro saba se kuch tu kaho
    kahin tu behr e khuda aj zikr e yaar chalay

    jo hum pe guzaree so guzaree magr shaba e hijra
    hamaray ishq teree aaqbat sanwar chalay

    maqam Faiz koi rah mein jucha he nae
    jo kua yaar se niklay tu sua daar chalay

    the man was the only true socialist we had ever, a man with a vision, a man of words..used his poetry to enlighten all generations to come..all of us leftists owe him everything..may Allah bless his soul !

  5. bilal says:

    Bhoolay say muskuraa to deeye thay woh aaj Faiz
    Mut pooch walwalay dilay naa kardaa kaar kay

  6. Dr. Shekhar Patel says:

    Aa ke vabasta hai us husn ki yaden tujhse
    jisne is dil ko parikhana bana rakkha hai
    jiski ulfat me bhula rakkhi hai duniya hamne
    deher ko deher ka afsana bana rakkha hai

    and

    is tarah hai ke har ek ped koi mandir hai
    benur ujda hiua purana mandir
    dhundhta hai jo apni kharabi ke bahane kab se

    30 years ago, Faiz was mainly instrumental in helping me winning over the heart of an unsuspecting beauty. She is now my wife of 29 years.

    Thanks Faiz Sahab

    Aap sa na koi hua hai, aur na hi kabhi hoga!

  7. Mehnaz says:

    Last lines from Faiz’s
    “Phir Barq Farozan Hai Sar-e-Wadi-e-Sina”

    Jaza saza sab yahin pe ho gi
    Yahin azaab-o-sawaab hoga
    Yahin se utthe ga shor-e-mehshar
    Yahin pe roz-e-hisaab hoga

  8. Abdul karim says:

    Zindagi kia kisi muflis ki qaba hay jismay
    her garhi dard ke payvund lagay jatay heiyn

  9. Ramesh says:

    I am great admirer of few lines of Faiz and consider the following as immortal verses :

    “Muqam Faiz koi raah meain jacha hi nahin
    Jo kue-yaar se nikle to sue-daar chale.”
    And
    ” Sheeshon ka masiha koi nahin
    Kyon Aas lagaye baithe ho “

  10. Arvind says:

    *****************
    Mere chaara ghar ko naveed ho saf-e-dushmanaN ko khabar karo
    Jo vo qarz rakhhte the jaan par aaj vo hisaab chuka diya

    Karo kaj jabeeN pe sar qafan mere qaatiloN ko gumaan na ho
    Ke gharuur-e-ishq ka baaNkpan pas-e-marG ham ne bhula diya

    Jo ruke tou koh-e-garaaN thay ham jo chalay tou jaaN se guzar gaye
    Raah-e-yaar ham ne Qadam Qadam tujhe yaadgaar bana diya.
    *************************
    And definitely – “Hum Dekhenge”

    Bas naam rahega Allah ka
    Jo ghayab bhi hai hazir bhi
    Jo nazir bhi hai manzar bhi
    Uthega analhaq ka naara
    Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
    Aur raaj karegi khalq-e-khuda
    Jo main bhi hoon aur tum bhi ho

  11. Lakhani says:

    hum ke there ajnabi

    Aaj bazar mein

    hum dekhein ge

    bol ke lub azad hein tere

    teri ankhoin ke siwa

    there are many and all are masterpiece.

  12. mateen mirza says:

    *******************************************
    faiz takmeelay aarzoo ma’aloom
    ho sakay to yuheen basar kar lay!
    *******************************************
    hum ahle quafas tanha bhi naheen,hur roze naseem-e subhe watan,
    yaadoan se muattar aati hai ashkoan se munawwar jaati hai!
    *******************************************
    Faiz kya jaaniyae yar kis aas per, muntazir hain kay layaega koi khabar.
    maikashoan per hua meherban muhtasib, dilfigaroan pe quatil ko piyaar aagaya!

  13. Asad Naqvi says:

    ye dag dag ujala, ye shabgazida sahar
    wo intazar tha jis ka, ye wo sahar to nahin

    ye wo sahar to nahin jis ki arzu lekar
    chale the yar k mil jayegi kahin na kahin
    falak k dasht main taron ki akhari manzil
    kahin to hoga shab-e-sust mauj ka sahil
    kahin to ja k rukga safina-e-gam-e-dil
    jawan lahu ki pur-asrar shaharahon se
    chale jo yar to daman pe kitne hath pare
    dayar-e-husn ki be-sabr khwab-gahon se
    pukarati rahin bahen, badan bulate rahe
    bahut aziz thi lekin rukh-e-sahar ki lagan
    bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman
    subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan

    suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-e-nur
    suna hai ho bhi chuka hai wisal-e-manzil-o-gam
    badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur
    nishat-e-wasl halal-o-azab-e-hijr-e-haram
    jigar ki ag, nazar ki umang, dil ki jalan
    kisi pe chara-e-hijran ka kuch asar hi nahin
    kahan se ai nigar-e-saba, kidhar ko gai
    abhi chirag-e-sar-e-rah ko kuch khabar hi nahin
    abhi garani-e-shab main kami nahin ai
    najat-e-dida-o-dil ki ghari nahin ai
    chale chalo k wo manzil abhi nahin ai

  14. momna gull says:

    meraa dard naGmaa-e-besadaa
    merii zaat zarraa-e-benishaa.N
    mere dard ko jo zubaa.N mile
    mujhe apanaa naam-o-nishaa.N mile
    merii zaat ko jo nishaa.N mile
    mujhe raaz-e-nazm-e-jahaa.N mile
    jo mujhe ye raaz-e-nihaa.N mile
    merii Khaamoshii ko bayaa.N mile
    mujhe qaayanaat kii saravarii
    mujhe daulat-e-do-jahaa.N mile

  15. momna gull says:

    vo log bahut Khush_qismat the
    jo ishq ko kaam samajhate the
    yaa kaam se aashiqii karate the
    ham jiite jii masaruuf rahe
    kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa

    kaam ishq ke aa.De aataa rahaa
    aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
    phir aaKhir tang aakar ham ne
    dono.n ko adhuuraa chho.D diyaa

  16. momna gull says:

    tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii
    aanevaale lamho.n kii amaanat ban jaaye.N
    tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab
    ye sabzaa, ye gulaab aur ham dono.n ke Khvaab
    sab ke sab aise mubaham ho.n ki haqiiqat ho jaaye.N
    tum Thahar jaao ki unavaan kii tafasiir ho tum
    tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale
    raat to kyaa badalegii, haaalat to kyaa badale.nge
    tum jo Thahar jaao to merii zaat kaa mausam badale
    mahaarbaa.N ho ke na Thaharo to phir yuu.N Thaharo
    jaise pal bhar ko ko_ii Khvaab-e-tamannaa Thahare
    jaise daravesh-e-madaa-nosh ke pyaale me.n kabhii
    ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa Thahare
    Thahar jaao ke madaarat maikhaane se
    chalate chalate ko_ii ek-aadh subuu ho jaaye
    is se pahale ke ko_ii lamhaa aa_indaa ka tiir
    is tarah aaye ke pevast-e-guluu ho jaaye

  17. momna gull says:

    mujhako shikavaa hai mere bhaa_ii ki tum jaate huye le gaye saath merii umr-e-guzashataa kii kitaab

    is me.n to merii bahut qiimatii tasviire.n thii.n is me.n bachapan thaa meraa, aur meraa ahad-e-shabaab

    is ke badale mujhe tum de gaye jaate jaate apane Gam kaa yah damakataa huaa Khuu.N-rang gulaab

    kyaa karuu.N bhaa_ii, ye ezaaz mai.n kyuu.N kar pahanuu.N mujhase le lo merii sab chaak qamiizo.n kaa hisaab

    aaKharii baar hai lo maan lo ik ye bhii savaal aaj tak tum se mai.n lauTaa nahii.n maayuus-e-javaab

    aake le jaao tum apanaa yah damakataa huaa phuul mujhako lauTaa do merii umr-e-guzashataa kii kitaab

  18. momna gull says:

    shaiKh saahab se rasm-o-raah na kii
    shukr hai zindagii tabaah na kii

    tujh ko dekhaa to ser-e-chashm hue
    tujh ko chaahaa to aur chaah na kii

    tere dast-e-sitam kaa ajz nahii.n
    dil hii kaafir thaa jis ne aah na kii

    the shab-e-hijr kaam aur bahut
    ham ne fikr-e-dil-e-tabaah na kii

    kaun qaatil bachaa hai shahar me.n ‘Faiz’
    jis se yaaro.n ne rasm-o-raah na kii

  19. Faisal Shaukat says:

    My favourite has to be ‘Subhe Azadi’
    Its amazing how his poetry’s prophecies are coming true. Subh e Azadi was written on the eve of independence in 1947 !

    Ye daag daag ujala,ye shab guzeedah sehar
    wo intezar tha jiska,ye wo sehar tou nahin
    ye wo sehar tou nahin jis ki aarzu lay ker
    chalay thay yar key mil jaaye gi kahin na kahin
    falak key dasht main taaron ki aakhri manzil
    kahin tou ho ga shabe sust moj ka sahil
    kahin tou ja key rukey ga safinae gume dil

    suna hai ho bhi chuka firaq-e-zulmat-o-noor
    suna hai ho bhi chuka wisal-e-manzil-o-gaam
    budal chuka hai bohat ahle dard ka dastoor
    nishat-e-wasl hilal-o-azab-e-hajr haram

    jigar ki aag.nazar ki umang,dil ki jalan
    kisee pey chara hajraan ka kuch asar hi nahin
    kahan sey aaye nigare saba,kidher ko gaye
    abhi chirage sare rah ko kuch khabr hi nahin
    abhi girani shab main kamee nahin aaye
    nijate didah-o-dil ki gharee nahin aaye
    chalay chalo kay wo manzil abhi nahin aaye

    August 1947

  20. Swaran Singh says:

    Kab nazr mein aayegi be-daagh sabze ki bahaar/ Khoon ke dhabbey dhuleyngay kitni barsaaton ke baad!

  21. umar khi says:

    Nahi nigah mein manzil to justuju he sahi
    Nahi Visaal mayasar to aarzo he sahi

  22. Adnan Mufti says:

    Perhaps, we still need a great statesman as Faiz was in this environment where we have rampant corrpution, no justice, no tolerance, etc.

    HAM NAY JO TARZ-E-FUGHAN KI HAY QAFAS MEIN IJAAD
    FAIZ GULSHAN MEIN VOHI TARZ-E-BAYAN THERI HAY

  23. Fraz says:

    na raha junoon-e-rukh-e-vafa,
    yeh rasam yeh dar karo gay kya,
    jinhain jurm-e-ishq peh naaz tha,
    voh gunahgaar chalay gayay…

  24. Ali Sarwar says:

    Ajj kuch apne khamoshe gonje
    goya har semth se jawab aye

    Faiz teh rah sar ba saz manzil
    ham jahan pohchan kamyab aye

  25. Zarar Sheikh says:

    My favourite :

    Mata’a -e- loh o qalam chhin gayee toa kya dar hai,
    Ke khoon-e-dil mein dabo lee hain unglian mein nay.

Dawn.com on Facebook


dawn.com on Facebook

Advertisement